पीएसीएल ताजा समाचार 2024 – पैसा क्यो नहीं मिला और कैसे मिलेगा ?

Pearls Group Kaise Itna Famous Hua

PACL Ltd. saal 1996 mei shuru ki gayi ek Real Estate Development Company hai jisne India ke kareeb 6 crore logon se paise lekar unhe ghar dilane ke fraud vaade kiye aur un paiso se apne naam par aur apne rishtedaro aur management ke logo ke land khareed li.

Pacl ne apni company ko itna bada sirf logo se paise thag kar hi nahi balki celebrities, politicians aur bade chehron se apani promotion krvake itna bada empire khada kiya. Aaj is company ke directors fraud ke case mein jail mei band hain aur jin logo ne PACL mei apne paise lagaye the voh apna paisa refund hone ki wait kar rahe hain. Supreme Court ne Justice R.M. Lodha Committee ko is matter mei investigate krne k liye appoint kiya hai.

PACL Company Dwara Kharidi Gayi Total Property

PACL ne sirf 7 saal k andar 3 lakh acres se zyada ki zameen apne naam par khareed li. Baki k saalo ka abhi tak koi bhi information nahi hai. 1 month pehle SEBI ne PACL mein paisa lagane vale investors, jinke poore paise ki rakam Rs. 2,500 tak hai, uske refund claim mange thae. Lekin 2 mahine khtam ho jane par bhi abhi tak SEBI ya sarkar ki tarf se koi update ya koi news nahi ayi hai ki paisa kab tak refund hokar vapis milega.


Haal hi mei, Punjab se Chandrashekhar Azad naam ke social worker ne PACL dvaara Supreme Court mei di gyi ek report ki saari jankari ek video mei dali thi. Report mei btaya gya hai ki PACL ne total property jo keval 7 saal mei khareedi hai voh hai 3, 04, 322.17 acres. Ab agr is zameen ko Sebi bech de aur agr sirf itni land 50 lakh acres bhi ho toh kam se kam 1.5 crores ki zameen banti hai jo ki 60 lakh investors ke paise ka bhuktan dila skti hai.

See also  SEBI Notice to PACL Ltd

PACL Refunds mei Dealy ka Main Reason

Itni properties hone ke baad bhi limited time mei PACL investors ko refunds na milne ka main reason ye ho skta hai ki Court ya Lodha Committee par koi davaab bnaya ja raaha ho. Kyonki is fraud mei apke bhi seniors involve hue ho skte hain jo ye nahi chahte ki PACL investors ko unka paisa vapis mile. Agar PACL ke investors chahte hain ki unka paisa jaldi se jaldi refund ho toh unhe ek sath khade hokar ladne ki zarurat hai. Kyonki isse un logon ko bhi help milegi jo PACL ki hidden properties ki information ko dhoond rahe hai.

PACL ne Diya Rs. 15,000 crores Refund ka offer

PACL ne Lodha Committee ke saamne ye offer rakha hai ki joPACL properties CBI ne seize ki hai usme se 113 properties committee ne sale krdi hain aur baki bachi hui properties ko PACL bech kar logon ko refund kar sakta hain. PACL ne 3 saal mei Rs. 20,000 crores vapis krne ka proposal Lodha Committee ke samne rakhte hue kaha hai ki company 2 saal mei Rs. 15,000 crores vapis kr skti hai, jisme se Rs. 7500 crores 1st saal mei, Rs. 7500 crores 2nd saal mei aur 3rd saal mei baki ke bache hue Rs. 5,000 crore vapis kr diye jayenge.

PACL ke is offer par SEBI ne counter offer dete hue kaha hai ki job bhi firms PACL ki properties par higher prices dekar unhe khareed chahti hain voh apne proposals June 21, 2018 tak Lodha Committee ko deti skti hain. Committee PACL ek authentic aur registered company hai bhi ya nahi, iske regarding bhi investigation kar rahi hai.

  • लोढ़ा समिति ने रुपये तक के पात्र दावों का भुगतान किया है। 19,000. जानकारी गुम होने के कारण कुछ दावों पर कार्रवाई नहीं की जा सकी.
  • समिति ने रुपये तक के दावों की ऑनलाइन जांच और सुधार की अनुमति दी। 5,000, बाद में इसे बढ़ाकर रु. 7,000 रु. 10,000 रु. 15,000, और अब रु. 17,000.
  • 14 मार्च, 2024 से, रुपये तक के दावे वाले निवेशक। 19,000 https://www.sebipaclrefund.co.in पर ऑनलाइन कमियों को ठीक कर सकते हैं।
  • निवेशक इस सुविधा का उपयोग 14 मार्च 2024 से 13 जून 2024 तक कर सकते हैं।
See also  PACL Check the status of/deficiency in claim applications for 19000

Related Posts